ab mujh se ye raat tai na hogi 
patthar ye jabin na hai na hogi 
KHurshid na ho to shahr-e-dil mein 
parchhain si koi shai na hogi 
darwaza khaTak uThega ek bar 
dastak kabhi pai-ba-pai na hogi 
aankhon mein lahu sambhaal rakhna 
ab ke mina mein mai na hogi
        Ghazal
Ab mujhse ye raat tai na hogi
Shamsur Rahman Faruqi

