ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai
allah re teri yaad ki kuchh yaad nahin hai
aati hai saba su-e-lahad un ki gali se
shayad meri miTTi abhi barbaad nahin hai
allah bachae asar-e-zabt se un ko
bedad to hai shikwa-e-bedad nahin hai
apni hi badaulat hai nasheman ki KHarabi
minnat-kash-e-be-dardi-e-sayyaad nahin hai
aamada-e-fariyaad-rasi hai wo sitamgar
fariyaad ki ab taqat-e-faryaad nahin hai
duniya mein dayar-e-dil-e-'fani' ke siwa hae
koi bhi wo basti hai jo aabaad nahin hai
Ghazal
Ab lab pe wo hangama-e-fariyaad nahin hai
Fani Badayuni