ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum
be-zar ho chuke hain fareb-e-jahan se hum
nazzara-e-jamal ka aalam ajib tha
madhosh o be-KHabar the wahan be-zaban se hum
ab haal-e-iztirab-e-tabiat na puchhiye
taDpe hain umr bhar tere dard-e-nihan se hum
ye zor-e-barq-o-baad ye tufan al-aman
mahrum ho na jaen kahin aashiyan se hum
jin ki mahak se ruh pe tari hai be-KHudi
wo phul chun rahe hain tere gulistan se hum
tamir-e-nau hai parda-e-taKHrib mein nihan
samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahan se hum
manzil pe ho rahi hain qayamat ki shorishen
ghafil paDe hue hain magar karwan se hum
naseh! KHayal-e-tark-e-mohabbat se faeda
waqif nahin hain kya alam-e-jawedan se hum
ai 'naqsh' muKHtasar ye haqiqat hai maut ki
phir aa gae wahin pe chale the jahan se hum

Ghazal
Ab kya kahen kisi se ye apni zaban se hum
Mahesh Chandra Naqsh