ab kisi ko nahin mera afsos
jaan kar ye bahut hua afsos
dukh nahin ye jahan muKHalif hai
sath apne nahin KHuda afsos
laD ke barbaad ho gae jab hum
sath mil kar kiya gaya afsos
jab bhi KHushiyon ne dar pe dastak di
samne aa khaDa hua afsos
hum faqat jang hi nahin haare
hausla bhi bikhar gaya afsos
ek ghazal aur ho gai hum se
sher koi nahin hua afsos
aap ko main ne Thes pahunchai
main ne behad bura kiya afsos
KHub-surat bahut nazar aae
jab mera dil nahin raha afsos
mujh ko KHud par yaqin nahin jaanan
tum ne mujh par yaqin kiya afsos
main ne baqi nahin rakha kuchh bhi
aap ne kuchh nahin kiya afsos
tu hai sharminda ilm hai lekin
tu nazar se utar gaya afsos
aadmi tu 'siraj' achchha tha
itni jaldi guzar gaya afsos
fatiha paDh ki phul rakh mujh par
aa gaya hai to kuchh jata afsos
us ne barbaad kar diya mujh ko
us ko is ka nahin zara afsos
mujh ko tum par bahut bharosa tha
tum ne mayus kar diya afsos
ai KHuda hai hasin teri duniya
par mera ji uchaT gaya afsos
Ghazal
Ab kisi ko nahin mera afsos
Siraj Faisal Khan