ab ke barsat ki rut aur bhi bhaDkili hai
jism se aag nikalti hai qaba gili hai
sochta hun ki ab anjam-e-safar kya hoga
log bhi kanch ke hain rah bhi pathrili hai
shiddat-e-karb mein hansna to hunar hai mera
hath hi saKHt hain zanjir kahan Dhili hai
gard aaankhon mein sahi dagh to chehre pe nahin
lafz dhundle hain magar fikr to chamkili hai
ghol deta hai samaat mein wo miTha lahja
kis ko malum ki ye qand bhi zahrili hai
pahle rag rag se meri KHun nichoDa us ne
ab ye kahta hai ki rangat hi meri pili hai
mujh ko be-rang hi kar den na kahin rang itne
sabz mausam hai hawa surKH faza nili hai
meri parwaz kisi ko nahin bhati to na bhae
kya karun zehn 'muzaffar' mera jibrili hai
Ghazal
Ab ke barsat ki rut aur bhi bhaDkili hai
Muzaffar Warsi