ab kaun si mata-e-safar dil ke pas hai
ek raushani-e-subh thi wo bhi udas hai
ek ek karke fash hue ja rahe hain raaz
shayad ye kaenat qarin-e-qayas hai
samjha gai ye talKHi-e-paiham firaq ki
ek muzhda-e-visal mein kitni miThas hai
har chiz aa rahi hai nazar apne rup mein
utra hua fareb-e-nazar ka libas hai
ek gardish-e-dawam mein roz azal se hai
wo chashm-e-ba-KHabar ki jo mardum-shanas hai
fitrat kahan thi apni 'tamannai' shabnami
lekin kisi ki shoala-nigahi ka pas hai
Ghazal
Ab kaun si mata-e-safar dil ke pas hai
Aziz Tamannai