ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai
yani kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai
kahte hain wo ki jazba-e-dil ab fareb hai
jab dil gaya to dil ki karamat bhi gai
jo kuchh kiya wo tu ne kiya iztirab-e-shauq
sau aafaten bhi aain meri baat bhi gai
dastar aap ki jo hui rehn-e-mai-kada
tauba hamari qibla-e-hajat bhi gai
wade ki kaun raat qayamat ka din nahin
aasar-e-subh kahte hain ye raat bhi gai
mana ki din sidhaare 'mubarak' shabab ke
rangin tabiaton se mulaqat bhi gai
Ghazal
Ab kaun baat rah gai ye baat bhi gai
Mubarak Azimabadi