ab is se baDh ke kya nakaamiyan hongi muqaddar mein
main jab pahuncha to koi bhi na tha maidan-e-mahshar mein
ilahi nahr-e-rahmat bah rahi hai is mein Dalwa de
gunahgaron ke isyan bandh kar daman-e-mahshar mein
khule gesu to didar-e-KHuda bhi ho gaya mushkil
qayamat ka andhera chha gaya maidan-e-mahshar mein
sharik-e-kasrat-e-maKHluq tu kyun ho gaya yarab
teri wahdat ka parda kya hua maidan-e-mahshar mein
qayamat to hamari thi hum aapas mein nibat lete
koi puchhe KHuda kyun aa gaya maidan-e-mahshar mein
kisi ka aabla-pa qabr se ye puchhta uTTha
kahin thoDe bahut kanTe bhi hain maidan-e-mahshar mein
ilahi dard ke qisse bahut hain waqt thoDa hai
shab-e-furqat ka daman bandh de daman-e-mahshar mein
na uThte kushtagan-e-naz hargiz apni turbat se
teri aawaz shamil ho gai thi sur-e-mahshar mein
tah-e-madfan mujhe rahte zamana ho gaya 'muztar'
kuchh aisi nind soya hun ki ab jagunga mahshar mein
Ghazal
Ab is se baDh ke kya nakaamiyan hongi muqaddar mein
Muztar Khairabadi