اردو हिंदी
Ab is makan mein naya koi dar nahin karna | Shaahi Shayari
ab is makan mein naya koi dar nahin karna

Ghazal

Ab is makan mein naya koi dar nahin karna

Ahmad Mahfuz

;

ab is makan mein naya koi dar nahin karna
ye kaam sahl bahut hai magar nahin karna

zara hi der mein kya jaane kya ho raat ka rang
so ab qayam sar-e-rahguzar nahin karna

bayan to kar dun haqiqat us ek raat ki sab
pa shart ye hai kisi ko KHabar nahin karna

rafugari ko ye mausam hai sazgar bahut
hamein junun ko abhi jama-dar nahin karna

KHabar hai garm kisi qafile ke luTne ki
ye waqia hai to sair o safar nahin karna