ab dhup muqaddar hui chhappar na milega
hum KHana-ba-doshon ko kahin ghar na milega
aawara tamannaon ko gar samt na doge
bhaTki hui ummat ko payambar na milega
suraj hi nazar aaega neze pe hamesha
sachchai ke shanon pe kabhi sar na milega
alfaz masail ke shararon se bhare hain
ghazlon mein meri husn ka paikar na milega
haaroge jo himmat to Dubo dega samundar
sahil tumhein kashti se utar kar na milega
us bagh mein khilte hain abhi jhulse hue phul
us bagh mein KHushbu ko abhi ghar na milega
ye soch ke aaya hai tere shahr mein 'anjum'
aainon ke is shahr mein patthar na milega
Ghazal
Ab dhup muqaddar hui chhappar na milega
Farooq Anjum