ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai
ab dil koi pahlu ho sambhalta hi nahin hai
bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-did
ab baam pe wo chand nikalta hi nahin hai
ek umr se duniya ka hai bas ek hi aalam
ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai
nakaam raha un ki nigahon ka fusun bhi
is waqt to jadu koi chalta hi nahin hai
jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin
ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai
Ghazal
Ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai
Akhtar lakhnvi