اردو हिंदी
Ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho | Shaahi Shayari
ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho

Ghazal

Ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho

Mazhar Imam

;

ab bhi parde hain wahi parda-dari to dekho
aql ka dawa-e-baaligh-nazari to dekho

sar paTakte hain ki diwar-e-KHumistan Dha den
hazrat-e-shaiKH ki aashufta-sari to dekho

aaj har zaKHm ke munh mein hai zaban-e-fariyaad
mere isa ki zara chaaragari to dekho

qaid-e-nazzara se jalwaon ko nikalne na diya
doston ki ye wasia-un-nazari to dekho

un se pahle hi chale aae janab-e-naseh
mere nalon ki zara zud-asari to dekho

hai taghaful ki tawajjoh nahin khulne pata
husn-e-masum ki bedad-gari to dekho

mujh se hi puchh raha hai meri manzil ka pata
mere rahbar ki zara rah-bari to dekho

un ko de aae hain KHud apni mohabbat ke KHutut
gham-gusaron ki zara nama-bari to dekho

donon hi rah mein Takraate chale jate hain
ishq aur aql ki ye ham-safri to dekho

jawedan qurb ke lamhat hue hain mazhar
tair-e-waqt ki be-baal-o-pari to dekho