اردو हिंदी
Ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla | Shaahi Shayari
ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla

Ghazal

Ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla

Karrar noori

;

ab bhi aazad fazaon ka na imkan nikla
bab-e-gulshan jise samjhe dar-e-zindan nikla

itna nazdik mere tu bhi kabhi aa na saka
jitna nazdik mere ye gham-e-dauran nikla

un ki mahfil se main le aaya tamanna un ki
log samjhe the ki main be-sar-o-saman nikla

ruk ke ek ashk ne kya kya na jalaya hum ko
dil ka suraj bhi charagh-e-tah-e-daman nikla

hum ne dekha to koi ishq ka talib hi na tha
hum ne puchha to har ek sahab-e-iman nikla

jab bhi malum kiya apni tabahi ka sabab
apne hathon mein KHud apna hi gareban nikla

KHud-numai bhi ajab zulm hai 'nuri' mujh par
hae wo waqt ki main KHud se gurezan nikla