ab aur kya kisi se marasim baDhaen hum
ye bhi bahut hai tujh ko agar bhul jaen hum
sahra-e-zindagi mein koi dusra na tha
sunte rahe hain aap hi apni sadaen hum
is zindagi mein itni faraghat kise nasib
itna na yaad aa ki tujhe bhul jaen hum
tu itni dil-zada to na thi ai shab-e-firaq
aa tere raste mein sitare luTaen hum
wo log ab kahan hain jo kahte the kal 'faraaz'
he he KHuda-na-karda tujhe bhi rulaen hum
Ghazal
Ab aur kya kisi se marasim baDhaen hum
Ahmad Faraz