ab apne dida-o-dil ka bhi e'tibar nahin
usi ko pyar kiya jis ke dil mein pyar nahin
nahin ki mujh ko tabiat pe iKHtiyar nahin
har ek jam se pi lun wo baada-KHwar nahin
har ek gam pe kanTon ki hain kamin-gahen
shabab aah shagufon ki rahguzar nahin
bhari hui hai wo kaam-o-dahan mein talKHi-e-zist
ki lab pe jam-e-mohabbat bhi KHush-gawar nahin
na mere ashkon se daman pe tere aaegi aanch
ye shoala-ru hain magar fitrat-e-sharar nahin
kahin chhupae se chhupti bhi hai haqiqat-e-gham
wo gham hi kya jo masarrat se aashkar nahin
main teri yaad se bahka chuka hun yun dil ko
ki ab mujhe teri furqat bhi nagawar nahin
mere sukun ke liye kyun ye koshish-e-paiham
qarar chhinne wale tujhe qarar nahin
jahan-e-aql ke nafrat-kadon mein baT jata
hazar shukr mohabbat pe iKHtiyar nahin
kisi ki luT ke rahat KHushi nahin milti
KHizan ke hath mein sarmaya-e-bahaar nahin
nigah-e-dost ko is ki bhi hai KHabar lekin
wo raaz jis ka abhi dil bhi raazdar nahin
tawajja-e-nigah-e-yar ka sabab malum
dil-e-girafta-e-'mulla' abhi shikar nahin
Ghazal
Ab apne dida-o-dil ka bhi etibar nahin
Anand Narayan Mulla