ab aise dasht-mizajon se dur ghar liya jae
bajae hasrat o girya kuchh aur kar liya jae
main haw-hu pe kahani ko KHatm kar dunga
ye aam baat nahin hai, ise KHabar liya jae
ye nukta ishq-nagar ne mujhe kiya talim
ki jis ko zer kaha jae wo zabar liya jae
hamein ye ishq bahut ras aane lag gaya hai
to kya KHayal hai, phir dusra bhi kar liya jae
main apne dost ke pahle hadaf se waqif tha
ye be-dhyani nahin meri, darguzar liya jae
Ghazal
Ab aise dasht-mizajon se dur ghar liya jae
Rana Amir Liyaqat