اردو हिंदी
Ab ai be-dard kya is ke liye irshad hota hai | Shaahi Shayari
ab ai be-dard kya is ke liye irshad hota hai

Ghazal

Ab ai be-dard kya is ke liye irshad hota hai

Seemab Akbarabadi

;

ab ai be-dard kya is ke liye irshad hota hai
phir apni KHak se paida dil-e-barbaad hota hai

tasawwur jab anis-e-KHatir-e-nashad hota hai
jahan-e-dil teri taswir se aabaad hota hai

asiran-e-wafa ghabraen kyun tajwiz-e-zindan se
yahin to imtihan-e-fitrat-e-azad hota hai

jagah milti nahin jis ko shab-e-gham mahshar-e-dil mein
wo hangama lab-e-KHamosh mein aabaad hota hai

bahaar aai hai istiqbaal karne bab-e-zindan tak
nahin malum 'simab' aaj kaun aazad hota hai