ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen
use bhula ke gham-e-zindagi ka nam karen
fareb kha ke un aankhon ka kab talak ai dil
sharab-e-KHam piyen raqs-e-na-tamam karen
gham-e-hayat ne aawara kar diya warna
thi aarzu ki tere dar pe subh o sham karen
na mangun baada-e-gul-gun se bhik masti ki
agar tere lab-e-lalin mera ye kaam karen
na dekhen dair o haram su-e-rah-rawan-e-hayat
ye qafile to na jaane kahan qayam karen
hain is kashakash-e-paiham mein zindagi ke maze
phir ek bar koi sai-e-na-tamam karen
sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki
payam-e-zer-labi ko sala-e-am karen
ghulam rah chuke toDen ye band-e-ruswai
kuchh apne bazu-e-mehnat ka ehtiram karen
zamin ko mil ke sanwaren misal-e-ru-e-nigar
ruKH-e-nigar se raushan charagh-e-baam karen
phir uTh ke garm karen karobar-e-zulf-o-junun
phir apne sath use bhi asir-e-dam karen
meri nigah mein hai arz-e-moscow 'majruh'
wo sarzamin ki sitare jise salam karen
Ghazal
Ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen
Majrooh Sultanpuri