ab aap rah-e-dil jo kushada nahin rakhte
hum bhi safar-e-jaan ka irada nahin rakhte
pina ho to ek jura-e-zahrab bahut hai
hum tishna-dahan tohmat-e-baada nahin rakhte
ashkon se charaghan hai shab-e-zist so wo bhi
kotahi-e-mizhgan se ziyaada nahin rakhte
ye gard-e-rah-e-shauq hi jam jae badan par
ruswa hain ki hum koi labaada nahin rakhte
har gam pe jugnu sa chamakta hai jo dil mein
hum is ke siwa mishal-e-jada nahin rakhte
surKHi nahin phulon ki to zaKHmon ki shafaq hai
daman-e-talab hum kabhi sada nahin rakhte
Ghazal
Ab aap rah-e-dil jo kushada nahin rakhte
Shakeb Jalali