ab aae ho sada sun kar gajar ki
kaho ji shab kahan tum ne basar ki
sahar ko dafn kar ke jaiyega
musibat aur hai ek raat-bhar ki
qafas mein band karna tha jo taqdir
nadamat kyun mujhe di baal-o-par ki
guzar jaegi jo guzregi hum par
chalo ji rah lo tum apne ghar ki
abhi tu jaan le le ai gham-e-ishq
musibat kaun uThae umr-bhar ki
KHuda ke waste yaro sambhaalo
ki phir shiddat hui dard-e-jigar ki
tarashshoh aansuon ka ho raha hai
ghaTa umDi hui hai chashm-e-tar ki
na bolenge tumhaare KHauf se hum
hilaenge magar zanjir dar ki
na aana tum ijazat mangne ko
na dikhlana hamein surat safar ki
koi dam ka bakheDa rah gaya hai
jigar tak barchhiyan pahunchen nazar ki
hamein fassad ka munh dekhna hai
uThani hai musibat neshtar ki
habab-asa hai lutf-e-zindagani
haqiqat kuchh nahin hoti bashar ki
'nasim' ab dil katan ki tarah hai chaak
mohabbat mein kisi rashk-e-qamar ki
Ghazal
Ab aae ho sada sun kar gajar ki
Naseem Dehlvi