اردو हिंदी
Aaya to dil-e-wahshi dar-band-e-niyaz aaya | Shaahi Shayari
aaya to dil-e-wahshi dar-band-e-niyaz aaya

Ghazal

Aaya to dil-e-wahshi dar-band-e-niyaz aaya

Natiq Gulavthi

;

aaya to dil-e-wahshi dar-band-e-niyaz aaya
bargashta muqaddar tha sar-gashta-e-naz aaya

ek harf-e-shikayat par kyun ruTh ke jate ho
jaane do gae shikwe aa jao main baz aaya

nau-warid-e-hasti uTh kis wahm mein baiTha hai
hoti hai azan sun le chal waqt-e-namaz aaya

bardashta-KHatir tha ishrat ki haqiqat se
main dam-e-musibat mein aasuda-e-raaz aaya

rahat-gah-e-turbat se tu ne to bahut roka
marmar ke magar main bhi ai umr-e-daraaz aaya

bhula hua phirta hai dil apni haqiqat ko
le ai gham-e-hasti le ek mahw-e-majaz aaya

kal hayya-ala ki si aawaz ek aai thi
'natiq' ne kaha sun kar han banda-nawaz aaya