اردو हिंदी
Aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein | Shaahi Shayari
aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein

Ghazal

Aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein

Anwarul Hasan Anwar

;

aaya na aab-e-rafta kabhi juebar mein
kaise qarar aae dil-e-be-qarar mein

hangam-e-subh-e-id mein bhi wo maza kahan
jo lutf mil gaya hai shab-e-intizar mein

bijli giri thi kab ye kisi ko KHabar nahin
ab tak chaman mein aag lagi hai bahaar mein

jab tak bikhar na jae teri zulf-e-ambarin
nikhat kahan se aae nasim-e-bahaar mein

fursat mili hai dil ko nasheman ki fikr se
phir barq kundne lagi har shaKH-sar mein

phir kis ki yaad aai ki 'anwar' aaj-kal
moti piro raha hun gareban ke haar mein