اردو हिंदी
Aaya hai KHayal-e-be-wafai | Shaahi Shayari
aaya hai KHayal-e-be-wafai

Ghazal

Aaya hai KHayal-e-be-wafai

Naseem Dehlvi

;

aaya hai KHayal-e-be-wafai
kyun ji wahi guftugu phir aai

o but na sunega koi meri
kya teri hi ho gai KHudai

roko roko zaban roko
dene na lago kahin duhai

sahra mein hui guhar-fishani
kaam aai meri barahna-pai

chaha lekin na bach sake hum
aaKHir tegh-e-nigah khai

toDa kanTon ne aablon ko
barbaad hui meri kamai

bosa hum aaj mangte hain
karte hain qismat-azmai

tauba-shikani shabab mein kar
kab tak ai jaan-e-parsai

kaTa din to taDap taDap kar
aafat ki raat sar par aai

ruKHsat hai 'nasim' jald dekho
kar lo gar ho sake bhalai