اردو हिंदी
Aawara sa galiyon mein jo main ghum raha hun | Shaahi Shayari
aawara sa galiyon mein jo main ghum raha hun

Ghazal

Aawara sa galiyon mein jo main ghum raha hun

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

;

aawara sa galiyon mein jo main ghum raha hun
zahir hai teri did se mahrum raha hun

phir aankhen bichhae hue hun rah mein us ki
phir har kisi rah-raw ke qadam chum raha hun

ye hai meri bedari-e-qalbi ki hi ek waza
har-chand teri bazm mein main jhum raha hun

ghaddari-e-ulfat to nahin hai mera shewa
is jurm ke hi KHyal se masum raha hun

KHush-qismati-e-ahl-e-junun hai mera hissa
aasaish-e-duniyawi se mahrum raha hun

main bargah-e-husn se mayus na aata
gham hai wale taqdir mein maghmum raha hun

hun kya ki jo wo qadr bhi karte meri 'rahbar'
ek harf hun aur harf bhi mauhum raha hun