aatish-e-tab ne ki hai tab shurua
tu bhi kar dida-e-pur-ab shurua
kyun na abtar ho aansuon se chashm
ki hai laDkon ne ye kitab shurua
shab main chaha karun kuchh us se sawal
bin sune hi kiya jawab shurua
sarfa-e-KHushk bhi hai ek hila
karni zahid ko thi sharab shurua
nam sunte hi us ka bas 'qaem'
phir kya tu ne iztirab shurua
Ghazal
Aatish-e-tab ne ki hai tab shurua
Qayem Chandpuri