aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe
ek taghayyur ki KHabar deta hai paimana mujhe
tishna-e-nazuk mizajaan-e-kanisht-o-dair ka
barhaman kahne bhi de ek-adh afsana mujhe
kis qadar hairat-asar nikli hai marg-e-andalib
is sipas-e-jaan se gul lagta hai begana mujhe
ek KHayal-e-zulf-e-jaanan ek hawa-e-pech-pech
ek na ek zanjir-e-sar rakhti hai diwana mujhe
bosa-e-jaanan mein thi yun to had-e-shukr-o-sipas
chahiye ek larzish-e-lab bhi raqibana mujhe
us ke paikar ki jhalak rahon pe thi nazdik o dur
kal ghurub-e-mahr tha ek aaina-KHana mujhe
shahr jin ke nam se zinda tha wo sab uTh gae
ek ishaare se talab karta hai virana mujhe
Ghazal
Aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe
Aziz Hamid Madni