aatish-e-ishq-e-bala aag lagae na bane
aur hum us ko bujhaen to bujhae na bane
rang-e-ruKH uDne pe aaj jae to roke na ruke
lakh wo raaz chhupaen to chhupae na bane
kya maza ho na rahe yaad jo andaz-e-jafa
main kahun bhi ki satao to satae na bane
KHud wafa hai meri shahid ki wafadar hun main
lakh tum dil se bhulao to bhulae na bane
dil ke har zarra mein hai soz-e-mohabbat ki numud
KHak mein in ko milaun to milae na bane
rah-e-ulfat ne kuchh aisi meri surat badli
daman-e-dasht chhupae to chhupae na bane
dil ko ab tab-e-talafi o mudawa abhi nahin
chaaragar aae to ehsan uThae na bane
koi KHaka meri taswir ka khinche to sahi
khinch bhi jae koi naqsha to miTae na bane
maut qabu ki nahin aur na Thikana is ka
koi waqt us pe bhi aae ki banae na bane
aise Dhab se ho gila un ki sitam ka ai 'shauq'
baat kuchh chahen banani to banae na bane

Ghazal
Aatish-e-ishq-e-bala aag lagae na bane
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq