aatish-e-husn se ek aab hai ruKHsaron mein
ai teri shan ki pani bhi hai angaron mein
dam nikal jaega ruKHsat ka abhi nam na lo
tum jo uTThe to biTha dunga azadaron mein
ja ke ab nar-e-jahannam ki KHabar le zahid
naddiyan bah gain ashkon ki gunahgaron mein
naubaten nala-e-ruKHsat ka pata deti hain
matam-e-ishq ki aawaz hai naqqaron mein
mujh ko is dard ki thoDi si kasak hai darkar
jo dawa ban ke baTa hai tere bimaron mein
be-talab us ne dikhaya ruKH-e-raushan 'muztar'
nam musa ka nahin us ke talab-garon mein
Ghazal
Aatish-e-husn se ek aab hai ruKHsaron mein
Muztar Khairabadi