aastin mein sanp ek palta raha
hum ye samjhe hadsa Talta raha
aap to ek baat kah kar chal diye
raat-bhar bistar mera jalta raha
ek gham se kitne gham paida hue
dil hamara phulta-phalta raha
zindagi ki aas bhi kya aas hai
mauj-e-dariya par diya jalta raha
ek nazar tinka bani kuchh is tarah
der tak aankhen koi malta raha
ye nishan kaise hain 'baqi' dekhna
kaun dil ki rakh par chalta raha
Ghazal
Aastin mein sanp ek palta raha
Baqi Siddiqui