aasman suraj sitare bahr-o-bar kis ke liye
ye safar kis ke liye raKHt-e-safar kis ke liye
wo hare din wo bhare mausam to kab ke ja chuke
hath phailae khaDe hain ab shajar kis ke liye
din nikalte hi nikal aae the kis ki khoj mein
sham Dhalte hi chale aae hain ghar kis ke liye
tu kisi ka muntazir kab tha magar ye to bata
umr-bhar dil ka khula rakkha hai dar kis ke liye
kaun dariyaon ki haibat oDh kar nikla 'najib'
chiKH uTThe hain samundar mein bhanwar kis ke liye

Ghazal
Aasman suraj sitare bahr-o-bar kis ke liye
Najeeb Ahmad