aasman ka rang meri zat mein ghul jaega
dekhna ek din ghubar-e-jism bhi dhul jaega
ek ek kar ke parinde uD rahe hain shaKH se
aisa lagta hai ki jaise mausam-e-gul jaega
KHauf ki dewi ko aaKHir mil gaya us ka pata
us ke sheron se bhi ab rang-e-taghazzul jaega
dard ke jhonkon se bachna ab kahan mumkin 'shamim'
band hoga ek dar to dusra khul jaega

Ghazal
Aasman ka rang meri zat mein ghul jaega
Shamim Farooqui