aasman ka na raha aur zamin ka na raha
gham ki jo shaKH se TuTa wo kahin ka na raha
itne be-rang ujalon se nazar guzri hai
hausla aankh ko ab KHwab-e-hasin ka na raha
waqt ne sare bharoson ke shajar kaT diye
ab to saya bhi koi KHak-nashin ka na raha
kaun ab us ko ujaDne se bacha sakta hai
hae wo ghar ki jo apne hi makin ka na raha
ai 'nazir' apni sharafat hai isi ki qail
han ka paband hua jab tu nahin ka na raha
Ghazal
Aasman ka na raha aur zamin ka na raha
Nazir Fatehpuri