aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe
miTne ko yun miTen ki abad tak nishan rahe
tauf-e-haram mein ya sar-e-ku-e-butan rahe
ek barq-e-iztirab rahe hum jahan rahe
un ki tajalliyon ka bhi koi nishan rahe
har zarra meri KHak ka aatish-ba-jaan rahe
kya kya hain dard-e-ishq ki fitna-taraaziyan
hum iltifat-e-KHas se bhi bad-guman rahe
mere sarishk-e-KHun mein hai rangini-e-hayat
ya rab faza-e-husn abad tak jawan rahe
main raazdar-e-husn hun tum raazdar-e-ishq
lekin ye imtiyaz bhi kyun darmiyan rahe
Ghazal
Aashob-e-husn ki bhi koi dastan rahe
Asghar Gondvi