aashiqon ke sair karne ka jahan hi aur hai
un ke aalam ka zamin o aasman hi aur hai
puchhta phirta hai kya har ek se un ka suragh
la-makan hain un ko rahne ka makan hi aur hai
aazmaish in ki wazon ka tujhe hai ga zarar
ye wo firqa hai ki in ka imtihan hi aur hai
kya KHaridega KHarab-abaad ke bazar mein
dard ki ho jins jis mein wo dukan hi aur hai
sang o gul ka tauf ho tujh ko mubarak hajiyo
hazrat-e-dil ke haram ka karwan hi aur hai
baiThne ko shaKH-e-tuba par nahin kartin nigah
is chaman ki bulbulon ka aashiyan hi aur hai
us ko kya nisbat kisi afsana-o-qisse ke sath
ishq ke daftar ki 'hatim' dastan hi aur hai
Ghazal
Aashiqon ke sair karne ka jahan hi aur hai
Shaikh Zahuruddin Hatim