اردو हिंदी
Aashiqi mein hai jaan ka khaTka | Shaahi Shayari
aashiqi mein hai jaan ka khaTka

Ghazal

Aashiqi mein hai jaan ka khaTka

Kishan Kumaar Waqaar

;

aashiqi mein hai jaan ka khaTka
aur bhi kuchh bura bhala khaTka

yar sayyaad baghban ka hua
ye naya aur ek bandha khaTka

kan aahaT ki rah se na haTe
dil mein tha kis ke aane ka khaTka

wahi kawish mizha ne ki aaKHir
jis ka awwal se dil mein tha khaTka

bulbul-e-pak-bin hai aashiq-e-gul
baghban tu na khaTkhaTa khaTka

be tere yar sair-e-gulshan mein
phul aankhon mein KHar sa khaTka

tujh ko dekha uTha uTha kar sar
sans ka bhi agar hua khaTka

ishq ke hain 'waqar' chaar unsur
KHauf andesha-o-dagha khaTka