aashiqi jaan-faza bhi hoti hai
aur sabr-azma bhi hoti hai
ruh hoti hai kaif-parwar bhi
aur dard-ashna bhi hoti hai
husn ko kar na de ye sharminda
ishq se ye KHata bhi hoti hai
ban gai rasm baada-KHwari bhi
ye namaz ab qaza bhi hoti hai
jis ko kahte hain nala-e-barham
saz mein wo sada bhi hoti hai
kya bata do 'majaz' ki duniya
kuchh haqiqat-numa bhi hoti hai
Ghazal
Aashiqi jaan-faza bhi hoti hai
Asrar-ul-Haq Majaz