aasar-e-junun be-sar-o-saman nahin hote
hum shahr-e-tahayyur mein pareshan nahin hote
raste mein tilismat bichhi jati hain har dam
hum KHu-e-safar surat-e-hairan nahin hote
mazi ki tanabon se lage dard ke KHeme
kya jaaniye kyun dida-e-imkan nahin hote
KHwabon ki haweli se rawan shor-e-musalsal
aawaz-e-jaras ke liye zindan nahin hote
hum zabt ki tariKH ke hain bab 'rashidi'
hum zabt ki tariKH mein pinhan nahin hote

Ghazal
Aasar-e-junun be-sar-o-saman nahin hote
Moid Rashidi