aasan nahin hai jada-e-hairat uburna
hairan hue baghair use mat uburna
mere KHilaf koi bhi bakta rahe magar
sikha hai main ne sarhad-e-tohmat uburna
sad-afrin KHayal to achchha hai waqai
aankhon ko band kar ke mohabbat uburna
aawargan-e-ishq zara ehtiyat se
lazzat ke baad lazzat-e-shahwat uburna
tamir-e-mah-o-sal mein taKHir ke baghair
kis ko rawa hai arsa-e-mohlat uburna
juzw-e-badan banega to bahar bhi aaega
ye zaKHm thoDi der se hazrat uburna

Ghazal
Aasan nahin hai jada-e-hairat uburna
Iftikhar Falak Kazmi