aarzu ko dil hi dil mein ghuT ke rahna aa gaya
aur wo ye samjhe ki mujh ko ranj sahna aa gaya
ponchhta koi nahin ab mujh se mera haal-e-dil
shayad apna haal-e-dil ab mujh ko kahna aa gaya
sab ki sunta ja raha hun aur kuchh kahta nahin
wo zaban hun ab jise danton mein rahna aa gaya
zindagi se kya laDen jab koi bhi apna nahin
ho ke shal dhaare ke ruKH par hum ko bahna aa gaya
lakh parde iztirab-e-shauq par Dale magar
phir wo ek machla hua aansu barahna aa gaya
tujh ko apna hi liya aaKHir nigar-e-ishq ne
ai urus-e-chashm le moti ka gahna aa gaya
pi ke aansu si ke lab baiTha hun yun is bazm mein
dar-haqiqat jaise mujh ko ranj sahna aa gaya
ek na-shukre chaman ko rang-o-bu deta raha
aa gaya han aa gaya kanTon mein rahna aa gaya
lab pe naghma aur ruKH par ek tabassum ki naqab
apne dil ka dard ab 'mulla' ko kahna aa gaya
Ghazal
Aarzu ko dil hi dil mein ghuT ke rahna aa gaya
Anand Narayan Mulla