اردو हिंदी
Aarzu hasrat-e-nakaam se aage na baDhi | Shaahi Shayari
aarzu hasrat-e-nakaam se aage na baDhi

Ghazal

Aarzu hasrat-e-nakaam se aage na baDhi

Figar Unnavi

;

aarzu hasrat-e-nakaam se aage na baDhi
fikr andesha-e-anjam se aage na baDhi

su-e-manzil kabhi do gam se aage na baDhi
zindagi maut ke ilzam se aage na baDhi

zulf-o-ruKH ke sahar-o-sham se aage na baDhi
aashiqi rahguzar-e-am se aage na baDhi

rah gai rifat-e-parwaz ki hasrat dil mein
par-fishani qafas-o-dam se aage na baDhi

manzil-e-be-KHudi-e-shauq ki azmat malum
tishna-kaamon ki nazar jam se aage na baDhi

kitni shamen gain aur kitne sawere aae
nigah-e-muntazir ek sham se aage na baDhi

paki-e-nafs ki azmat ka to kya zikr 'figar'
zohd ki baat bhi ehram se aage na baDhi