aarzu hai main rakhun tere qadam par gar jabin
tu uThawe naz se zalim laga Thokar jabin
apne ghar mein to bahut paTka pa kuchh hasil nahin
ab ke ji mein hai teri chaukhaT pe roun dhar jabin
jaisi peshani teri hai ai mere KHurshid-ru
chand ki hai raushni mein us se kab behtar jabin
shaiKH aa jalwa KHuda ka mai-kade mein hai mere
kyun ragaDta hai abas kabe ke tu dar par jabin
kya karun tere qadam tak to nahin hai dastaras
naqsh-e-pa hi par tere malta hun main akasr jabin
shaiKH gar shaitan se surat nahin milti teri
bas bata daghi hui hai kis tarah yaksar jabin
hai kisi ki bhi teri se aundhi peshani bhala
dekh tu ai shoKH apni aaina le kar jabin
aa ke jin hathon se malta tha tere talwon ke tain
piTta hun ab unhin hathon se main akasr jabin
bujh kar naqsh-e-qadam ko tere mehrab-e-dua
mangta hun main murad-e-dil ko rakh is par jabin
chand ka mukhDa hai ya aaina ya mushaf ka lauh
ya teri hai ai mere rashk-e-mah-o-aKHtar jabin
saf dil 'taban' mukaddar hi kabhu hota nahin
aaina ki haigi raushan dekh le yaksar jabin
Ghazal
Aarzu hai main rakhun tere qadam par gar jabin
Taban Abdul Hai