aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye
kya mujhe bhi ishq mein nakaam hona chahiye
kyun bhala iblis ko ilzam dete ho faqat
tum ko KHair-o-shar ka bhi ilham hona chahiye
bap ki dastar bechen bahan ki khinchen rida
mard ki ghairat pe ab nilam hona chahiye
matlabi duniya mein hai gum ibn-e-adam is qadar
kaam hona chahiye bas kaam hona chahiye
DhunDne se gar nahin milta KHuda phir DhunDhiye
subh us ki justuju mein sham hona chahiye
gar nasibon mein nahin wo shaKHs likha ai KHuda
kuchh duaon ka meri inam hona chahiye
ishq ki mearaj ho ai kash aisa moajiza
nam koi le wo mera nam hona chahiye
gar tujhe banna hai 'tishna' shaera ek be-badal
tere har ek sher mein ibham hona chahiye
Ghazal
Aarzu-e-dil ka ye anjam hona chahiye
Humera Gul Tishna