aariz-e-raushan pe jab zulfen pareshan ho gain
kufr ki gumrahiyan ham-rang-e-iman ho gain
zulf dekhi us ki jin qaumon ne wo kafir banin
ruKH nazar aaya jinhen wo sab musalman ho gain
KHud-faroshi husn ko jab se hui madd-e-nazar
nirKH-e-dil bhi ghaT gaya jaanen bhi arzan ho gain
jo banain thin kabhi aiwan-e-kisra ka jawab
gardish-e-aflak se gard-e-bayaban ho gain
KHauf-e-nakaami hai jab tak kaamyabi hai muhaal
mushkilen jab bandh gain himmat sab aasan ho gain
hae kis ko roiye aur kis ki KHatir piTiye
kaisi kaisi suraten nazron se pinhan ho gain
kya unhen andoh-e-hangam-e-sahar yaad aa gaya
sham hi se bazm mein shamen jo giryan ho gain
ek farishte bhi to hain jin ko na mehnat hai na ranj
KHwahishen dil ki bala-e-jaan-e-insan ho gain
kya hai wo jaan-e-mujassam jis ke shauq-e-did mein
jama-e-tan phenk kar ruhen bhi uryan ho gain
thi wo taufiq-e-ilahi main ne samjha apna feal
taaten bhi mere haq mein ain isyan ho gain
Ghazal
Aariz-e-raushan pe jab zulfen pareshan ho gain
Ismail Merathi