aaram phir kahan hai jo ho dil mein ja-e-hirs
aasuda zer-e-KHak nahin aashna-e-hirs
mumkin nahin hai ye ki bhare kasa-e-tama
din mein karoD ghar jo phira de gada-e-hirs
insan na hon zalil zamane ke hath se
zillat kisi ko koi na dewe siwa-e-hirs
kar munh ko Tuk ba-su-e-qanaat ye harf man
rahti hai lakh tarah ki aafat qifa-e-hirs
nadan talash-e-turra-e-zar se to baz aa
jun shama ye na ho ki tera sar kaTae hirs
apne siwa kisi ko na paya harif haif
ki qata rozgar ne hum par qaba-e-hirs
'sauda' basar ho KHubi se auqat har tarah
par darmiyan na howe ba-shart-e-ki pa-e-hirs
Ghazal
Aaram phir kahan hai jo ho dil mein ja-e-hirs
Sauda Mohammad Rafi