اردو हिंदी
Aap se hai muqabla dar-pesh | Shaahi Shayari
aap se hai muqabla dar-pesh

Ghazal

Aap se hai muqabla dar-pesh

Rahman Jami

;

aap se hai muqabla dar-pesh
hai ajab dil ko marhala dar-pesh

kitni ayyar hai teri duniya
hai isi se moamla dar-pesh

hal tumhaare baghair kaise ho
zindagi ka hai masala dar-pesh

ishq wale hain mubtala-e-gham
husn walon ka hai bhala dar-pesh

ru-ba-ru hai wo KHub-ru 'jami'
hai qayamat ka marhala dar-pesh