aap logon ke kahe par hi ukhaD jate hain
log to jhuT bhi sau tarah ke ghaD jate hain
aankh kis tarah khule meri ki main jaanta hun
aankh khulte hi sabhi KHwab ujaD jate hain
gham tumhaara nahin jaanan hamein dukh apna hai
tum bichhaDte ho to hum KHud se bichhaD jate hain
log kahte hain ki taqdir aTal hoti hai
hum ne dekha hai muqaddar bhi bigaD jate hain
wo jo 'haidar' mere munkir the mere zikr pe ab
chaunk uThte hain kisi soch mein paD jate hain
Ghazal
Aap logon ke kahe par hi ukhaD jate hain
Haidar Qureshi