aap ki bas ye nishani rah gai
uljhanon mein zindagani rah gai
jhuT aaya samne sach ki tarah
dur roti haq-bayani rah gai
jis ke do kirdar the tum aur main
yaad mujh ko wo kahani rah gai
jis ka kah dena zaruri tha bahut
baat wo tum ko batani rah gai
KHak mein lipTa hua bachpan gaya
karb mein lipTi jawani rah gai
umr guzri hai ghulamon ki tarah
nam ki wo sirf rani rah gai

Ghazal
Aap ki bas ye nishani rah gai
Siya sachdev