aap ki aankh agar aaj gulabi hogi
meri sarkar baDi saKHt KHarabi hogi
mohtasib ne hi paDha hoga maqala pahle
meri taqrir ba-har-haal jawabi hogi
aankh uThane se bhi pahle hi wo honge ghaeb
kya KHabar thi ki unhen itni shitabi hogi
har mohabbat ko samajhta hai wo nowel ka waraq
us pari-zad ki talim kitabi hogi
shaiKH-ji hum to jahannam ke parinde Thahre
aap ke pas to firdaus ki chabi hogi
kar diya musa ko jis chiz ne behosh 'adam'
be-naqabi nahin wo nim-hijabi hogi
Ghazal
Aap ki aankh agar aaj gulabi hogi
Abdul Hamid Adam