aap ke taghaful ka silsila purana hai
us taraf nigahen hain is taraf nishana hai
manzilon ki baaten to manzilon pe kar lenge
hum ko to chaTanon mein rasta banana hai
tum bhi Dube Dube the main bhi khoi khoi thi
wo bhi kya zamana tha ye bhi kya zamana hai
fasla baDhane se kya mila zamane ko
tab bhi aana jaana tha ab bhi aana jaana hai
Ghazal
Aap ke taghaful ka silsila purana hai
Hina Taimuri