aap ke dil ka mere dil ka nafaz
kya kare maqtul-o-qatil ka nafaz
phir gaya mujh ko zaban de kar koi
khul gaya yun upri dil ka nafaz
jada-e-ishq-o-wafa mein chahiye
rahrawon par shauq-e-manzil ka nafaz
mar gae lakhon gala KHud kaT kar
allah allah tegh-e-qatil ka nafaz
hum ne paya hum ne dekha ja-ba-ja
ishq-e-sadiq husn-e-kaamil ka nafaz
phir gae nawak bhi un ke dekh kar
mere dil mein hasrat-e-dil ka nafaz
pahle dekh aaina ai aaina-ru
jaanch phir madd-e-muqabil ka nafaz
panw rakhna mujh ko mushkil ho gaya
tha ye hukm-e-mir-e-mahfil ka nafaz
jazb-e-kaamil ishq mein hai KHas chiz
ho na kyunkar jazb-e-kaamil ka nafaz
ashk aankhon se ruken mumkin nahin
dil hi tak mahdud hai dil ka nafaz
'nuh' gharq-e-bahr-e-ulfat ho gae
kaam aaya kuchh na sahil ka nafaz
Ghazal
Aap ke dil ka mere dil ka nafaz
Nooh Narvi